“Ek Chhoti Si Baat, Itna Gehra Asar?”
“Kabhi kisi ne bas itna kaha, ‘Tum hamesha aise hi karte ho’… aur baat khatam hone ke baad bhi woh ek line aapke andar goonjti rahi?”Ap jante hain yeh kyun hota hain ?Kabhi ek lafz, kabhi kisi ka chehra. Kabhi koi jagah, calendar ki ek tareekh, ya achanak suna hua ek gaana. Kuch pal pehle sab theek tha. Phir aankhon mein aansu aa gaye, ya aap bilkul chup ho gaye. Aur mann mein sawaal utha… *“Mujhe itna kyun laga?”*Main chahti hoon, agli baar jab yeh sawaal aaye, aap use thodi narmi se poochhein. Kyunki **trigger hona kamzori ki nishaani nahi hai.** Kabhi aaj ki koi baat ek purani feeling ko chhoo jaati hai. Kabhi aaj ki baat hi chubhne waali hoti hai. Dono haalaton mein, jo aap mehsoos kar rahe hain, woh sunne layak hai.Sochiye, meeting mein kisi ne aapki baat beech mein kaat di. Aapke paas kehne ko abhi bahut kuch tha, lekin aap chup ho gaye. Baad mein, ghar jaate waqt, aapko yaad aaya ki bachpan mein bhi jab aap apni baat rakhte the, aksar koi keh deta tha, *“Rehne do, tum nahi samjhoge.”*Shayad us pal aapki khamoshi aapko dobara sharminda hone se bachane ki koshish thi. Aur shayad aaj aap apne liye ek chhota sa naya jawaab chun sakte hain. *“Ek minute, main apni baat poori karna chahti hoon.”*Har baar khud se *“Positive socho”* kehne se yeh samajh nahi aata ki andar kya chubh raha hai. Agli baar, agar ho sake, ek pal rukiye aur khud se poochhiye—*“Abhi mujhe sabse zyada kya chubha?”* *“Kya yeh feeling mujhe pehle se jaani-pehchaani lagti hai?”* *“Iss waqt mujhe kya chahiye—thoda waqt, ek boundary, ya kisi ka saath?”*Agar turant jawaab na aaye, koi baat nahi. Kabhi pehla kadam bas itna hota hai ki hum apni feeling ko naam de paayein.Agar aap in reactions ko support ke saath samajhna chahte hain, mujhse connect kijiye. Hum ek private online conversation mein baat kar sakte hain ki aap kya mehsoos kar rahe hain aur **Hypno-Heal** ka approach aapke liye suitable lagta hai ya nahi. **Connect to heal.**Aur jaane se pehle, agar is episode ne aapko apni kisi feeling ko samajhne mein madad ki, toh ise **like aur share kijiye**, **Indradhanush ko subscribe kijiye**, aur jahaan bhi aap sun rahe hain, **podcast ko rate zaroor kijiye.** 🎧Main hoon Parna. Phir milenge, zindagi ke ek aur rang ke saath. 🌈#emotionalwoundhealing#emotionaltriggerpoints#subsconscioushealing#spotifypodcast#audiopodcast#TriggerHealing #EmotionalTriggers #HypnoHeal #SubconsciousHealing #EmotionalAwareness #HealingSupport #OnlineHealing #TraumaHealing